Please register to gain full access to forum features lyk chatbox, webcam chatroom, radio, mast bank etc.......n many other coool features... Smile


Use firefox to browse our forum... Smile ..other browsers are not supported..... Smile
Please register to gain full access to forum features lyk chatbox, webcam chatroom, radio, mast bank etc.......n many other coool features... Smile


Use firefox to browse our forum... Smile ..other browsers are not supported..... Smile
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.



 
RadioChat RoomHomeLatest imagesSearchRegisterPMLog in
Latest topics
» Dil sabse ziada kon torta hai ? Larkian or Larkay ?
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySun Jul 03, 2011 12:29 pm by zulfi_rocks

» jub piyar me nakami hoti hay ya kuch b xyz to lurkian zeada dil pe leti hain ya lurkay ??
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySat Feb 12, 2011 11:16 am by AngelBee

» ~This Or That ~
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyThu Nov 19, 2009 12:05 pm by Xuhaib

» **Most Romantic Song**
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyThu Nov 19, 2009 4:48 am by crazzycat

» Truth or Dare!!
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyThu Nov 19, 2009 4:46 am by crazzycat

» Post Nice quotes here
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyThu Nov 19, 2009 4:45 am by crazzycat

» CHOOSE A GF/BF FROM THE CURRENT PAGE....!!!
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySat Nov 14, 2009 9:52 pm by Faisal

» WhO's NeXt!!!!!
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Nov 10, 2009 5:14 am by Xuhaib

» HO NAHI SAKTA
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Nov 10, 2009 3:02 am by K@mi

» attendence
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Nov 10, 2009 1:48 am by Mast Hurii

» I ---- U ... (",)
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyWed Nov 04, 2009 6:03 am by Umair Abdullah

» ♥ღThRoW AnYtHiNg tO ThE PeRsOn aBoVe u..♥ღ
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Oct 27, 2009 3:50 am by Xuhaib

» Yes or No-Game
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Oct 27, 2009 3:49 am by Xuhaib

» !i!(^ i LiKE yOuR ________ ^)!i!
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Oct 27, 2009 3:46 am by Xuhaib

» TRAPPED IN A LIFT WID THE PERSON ABOVE U.....
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Oct 27, 2009 3:46 am by Xuhaib

» Wud u like to marry the person abV u Reply if ......
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Oct 27, 2009 3:44 am by Xuhaib

» FACE LOOKS????
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Oct 27, 2009 3:43 am by Xuhaib

» Maara jaye ya choora jaye........
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Oct 26, 2009 9:15 am by K@mi

» *!~ JUS STEAL ET !~*
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Oct 26, 2009 5:34 am by Azaan

» WhO's tHe mSt gOoD LoOkInG oN tHe cUrReNt pAgE
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySun Oct 25, 2009 2:00 pm by Ch@rming

» ~ NAMAZ ~ Plz Look Upon it !!!
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySun Oct 25, 2009 9:41 am by K@mi

» Rishta Onlyn Dnt M!ss Da Chance (",)
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySun Oct 25, 2009 7:57 am by Awz

» M!sh@l'z World ... (",)
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySun Oct 18, 2009 5:47 pm by AngelBee

» »¦« »¦« MOOD KESA HAI? »¦« »¦«
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySat Oct 17, 2009 3:26 am by coming_style

» I Don't Like............!!!!!
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Oct 13, 2009 2:07 am by Alone Prince

» Facts About Guys!Believe It Or Not...
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyThu Oct 08, 2009 11:13 am by coming_style

» WHO WILL U MARRY FROM ABOVE 3
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyThu Oct 08, 2009 10:27 am by nayyab

» *~****BEST GHAZAL OF THE WEEK****~*
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyThu Oct 08, 2009 6:55 am by Umair Abdullah

» khushi k liay kia zarori hai?
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyWed Oct 07, 2009 7:58 pm by K@mi

» WHAT'S SO SPECIAL IN THE PERSON ABOVE??
*| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Oct 05, 2009 10:27 am by coming_style

Who is online?
In total there are 17 users online :: 0 Registered, 0 Hidden and 17 Guests :: 1 Bot

None

Most users ever online was 298 on Mon Jul 26, 2021 12:58 am
Top posters
Mast Hafsay (12116)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
shanu (9384)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
Faisal (8341)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
$am (7107)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
$arah khan (3980)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
AngelBee (3760)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
Usama1 (3742)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
Nida Arshi (3599)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
sheroz (3405)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 
Lycan (2921)
*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_lcap*| Komal's Collection |* - Page 2 I_voting_bar*| Komal's Collection |* - Page 2 I_vote_rcap 

 

*| Komal's Collection |*

View previous topic View next topic Go down 
Go to page : Previous  1, 2, 3  Next
Author Message
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyWed Mar 04, 2009 2:41 pm

First topic message reminder :

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai

sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai

apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiN
ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa hai
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod


Number of posts : 2263

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Mar 16, 2009 10:35 pm

Bohat hi mudat k baad kal jab..
kitab-e-mazi ko main ne khola..
bohat se chehry nazar mein utray..
Bohat se naamon pe dil paseeja..
Aik aisa safha bhi us mein aya..
Likha huwa tha jo ansuon se..
k jis ka unwan " Humsafar " tha..
Yeh safha sab se he motbar tha..
Kuch aur ansu phir us pay tapkey..
Phir us se aagey main parh na paya..
Kitab-e-mazi ko band kar ke..
Usi ki yadon mein kho gaya main..
Agar wo milti to kaisa hota..
Inhe khyaalon mein so gaya main..
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod


Number of posts : 2263

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 17, 2009 8:02 pm

Ek chand tanha khila raha meray aasman say zara paray
meray sath sath safar mein tha meri manziloon say zara paray

teri justuju k hisaar say teray khuwab teray khayal say
main woh shakhs tha jo khara raha teri chahaton say zara paray

kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi tou woh bhi dabi dabi
meray lafz pooray tou thay magar thay samaa'aton say zara paray

tu chala gaya meray hamsafar zara dekh mur k tou ik nazar
meri kashtiyaan hain jali hueen teray saahilon say zara paray
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod


Number of posts : 2263

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 17, 2009 8:03 pm

Mere dost zindagi bhar mujhe yun hi pyar karna,
Main tujhe dagha na doongi mera aitbaar karna.

Abhi meri kismaton ka hai sitara gardhishon mein,
Mere dost kuch dinnon tak mera intizar karna.

Ab tod do yeh shishe mere kaam ke nahin hain,
Mere pass jab nahin tum bhala kya shringar karna.

Yehi aarzoo hai ab tho mere baad zindagi mein,
Ke tu phir kabhi kissi se na nigaah char karna.
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod


Number of posts : 2263

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 17, 2009 8:04 pm

kash kuch dair yuhi waqt guzarta rahta
mai use daikhta rahta wo sanwarta rahta

ajnabi,kitna akela ha muhabbat ka safar
tu mere sath na hota to mai darta rahta

mai to subho ki tarah goad mai leta us ko
wo k suraj tha to phir roz ubharta rahta

ik na ik rukh pai meri aank bikhati rahti
ik na ik aks mere dil mai utarta rahta

us ko jana tha, koi zakham hi dai kar jata
is bahane mai use yaad to karta rahta

koi tasweer to aakhir ko ubhar hi aati
rang, khako mai wo kuch dair to bharta rahta
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod


Number of posts : 2263

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 17, 2009 8:05 pm

Main Dil Par Jabar Karonga Tujhe Bhula Donga
Maroonga Khud Bhi Tujhe Bhi KAri Saza Donga

isi Khayal Main Guzri Hai Sham Dard Aksar
Ke Dard Hadh Se Barhe Ga To Muskara Donga

Meri Nigah_E_ShOq Se Kaisay Nihan The Tum
Hairat Se sOchta Hoon Jane Kahan The Tum

Asmaan Ki Surat Hai Gir Parega Kabhi
Zameen Hoo Main bhi Magar Tujhe Asra Donga

BArha Rahi Hai Mere Dukh Nishaniaan Teri.....
Main Tere Khat Tere Tasweer Tak Jala Donga
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 17, 2009 8:07 pm

Roona Bhi Jo Chaahein Tou Woh Rooney Nahi Deitaa
Woh Shaks Tou PaLkein Bhi BhigooNey Nahi Deitaa
Woh Rooz RoLaata Hai Humein Khuwaab Mein Ahh ker
Soona Bhi Chaahein Tou Woh Sooney Nahi Deitaa

Yeh Kiss K Eshaarey Per Umadd Aaaein Hein BaadaL
Hai Koon Jo Baarish Kabhi Hooney Nahi Deitaa
Aaata hai KhayaaLoo mein Meiray Koon Yeh Aksar
Jo Mujh Ko Kissi Aur Ka Hooney Nahi Deitaa

Is Darr say K Kahein Toorr K Ansoo Na Bahaaein
Bachoo ko Mein Mitti K KhiLooney Nahi Deitaa
Eik Shaks Aisaa Hai Meiree Basti mein Abhi Tak
Jo Boojh AkeiLay mujhey Dhooney Nahi Deitaa

Mein Hoon K Bahaata hoon Teiree Yaad Mein Aansoo
Tou Hai K Mujhey Ashk Parooney Nahi Deitaa
Woh Chehraa Ajab hai Jissay Paaa ker Mein Abhi Tak
Khoona Bhi Chahoo tou Woh KhooNey Nahi Deitaa

Thaamey Hoey Lehroon Ko Hasan Bhaag Koi Tou
SaahiL KO Samundar Mein DiboooNey Nahi Deitaa
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 17, 2009 8:16 pm

Parakhna Matt, Parkhnay Main Koi Apna Nahi Rehta
Kisi Bhi Aainay Main Dair Tak Chahra Nahi Rehta

Baray Loogoun Say Milnay Main Hamaisha Fasila Rakhna
Jahan Darya Samundar Say Milla Darya Nahi Rehta

Tumhara Shaher Too Bilqul Naiy Andaaz Wala Hai
Humaray Shaher Mian Bhee Abh Koi Hum Saa Nahi Rehtaa

Muhabat Aaik Khushboo Hai Hamaisha Saath Chalti Hai
Koi Insaan Tanhai Main Bhee Tanhaa Nahi Rehtaa

Koi Badal Haray Mousam Ka Phir Elaan Karta Hai
Khizaan Kay Bagh Mian Jub Aaik Bhee Pata Nahi Rehtaa
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyWed Mar 18, 2009 10:11 am

yoN khilwat-e-khiyal maiN A-na ghaRi ghaRi
ach-cha nahieN hai dil ko satana ghaRi ghaRi

A-ja-O kash wasal ka wada wafa to ho
deta nahieN hai zaib bahana ghaRi ghaRi

ye bhi mizaj-e-yar ki ek kaifiayt si hai
sham-meiN bhuja bhuja ke jalana ghaRi ghaRi

ye bhi iztirab ki zinda misal hai
A-na kabhi kabhi, ya bulana ghaRi ghaRi
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyWed Mar 18, 2009 10:37 am

Nayi tarha say nibhanay ki dil nay thaani hay
Wagarna uss say Mohabbat bohot puraani hay

Khuda wo din na dikhaaye keh main kisi say sunoon
Keh tu nay bhi gham-e-dunya say haar maani hay

Zameen pe reh ke sitaaray shikaar kertay hain
Mizaaj ehl-e-mohabbat ka aasmaani hay..!!

Humain aziz ho kiun.ker na sham-e-gham ke yehi
Bicharnay waalay , teri aakhri nishaani hay

Utarr paray ho to darya say poochna kaisa.?
Keh saahiloon say udhar kitna taiz paani hay

Bohot dinoo main teri yaad orrh ker utrri
Ye sham kitni sunehri hay kia suhaani hay.!

Main kitni dair ussay sochta rahoon MOHSIN
Keh jaisay uss ka badan bhi koi kahani hay
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyWed Mar 18, 2009 10:39 am

Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai

Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaa karna hai

Hawa kay zadd mai jalaaney hain ansooon kay chiraagh
Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai

Woh mukura kay nayee waswason mai daal gaya
Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai

Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai

Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay
Keh shughal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai

Chaloo yeh ashq hi moti samajh kar baich ayeen
Kisi tarhan toh humein roz gaar karna hai

Kabhi toh dil mai chupay zakhm bhi numayan ho
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "Mohsin"
Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 12:33 pm

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN

ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN

voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN main
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 12:34 pm

kab uskaa visaal chaahiye thaa
bas aik Khayaal chaahiye thaa

kab dil ko javaab se Gharz thii
hoNToN ko savaal chaahiye thaa

shauq ek nafas thaa aur vafaa ko
paas-e-maah-o-saal chaahiye thaa

ek chehraa-e-saadaa thaa jo hamko
be-misl-o-misaal chaahiye thaa

ek qarb meN zaat-o-zindagii haiN
mumkin ko muhaal chaahiye thaa
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 12:35 pm

kabhi chanda ki nagri se koi paigham aye to
kabhi taron ke honton par kisi ka naam aye to
kabhi tareek shab mein koi jugnu jagmagata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi jab saans se uthhta dhuan mehsoos hota ho
ajab si aanch pe harr ki ruan mehsoos hota ho
tab us ke pyar ke sawan mein tann mann bheeg jata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi raton ko uth uth kar buhat bechain hote hon
agar jo laitna chahen to bass takiye bhigotey hon
koi roothi hui sab neend ki parian bulata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi jab titlion ke pankh bhi be rang ho jayen
meri sari baharen bhi khizan ke sang ho jayen
tabhi ik aas ka panchhi dar e dil khatkatata hai
mujhe woh yad ata hai

woh jis ke dhyan ki kirnen hamen harr subh jagati hain
usi ki yaad ke saye mein shaamen muskurati hain
mujhe chhu ke jo harr shab sang se heera banata hai
mujhe woh yad ata hai

kabhi ziddi si koi yaad daaman thham baithey to
kabhi kaga hamari chhat pe subh o sham baithey to
kabhi bhatka koi wada jo darwaza bajata hai
mujhe woh yad ata hai
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 12:38 pm

tujhse bicchaR ke ham bhii muqaddar ke ho gaye
phir jo bhii dar mila hai usii dar ke ho gaye

phir yuN hu’aa ke Ghair ko dil se lagaa liyaa
andar vo nafrateN thiiN ke baahar ke ho gaye

kyaa log the ke jaan se baRh kar aziiz the
ab dil se mahv naam bhii aksar ke ho gaye

ai yaad-e-yaar tujh se kareN kyaa shikaayateN
ai dard-e-hijr hum bhii to patthar ke ho gaye

samjhaa rahe the mujh ko sabhii nasehaan-e-shehar
phir raftaa raftaa Khud usii kaafir ke ho gaye

ab ke na intizaar kareN chaaragar kaa ham
ab ke gaye to kuu-e-sitamgar ke ho gaye

rote ho ek jaziira-e-jaaN ko “Faraz” tum
dekho to kitne shah’r samandar ke ho gaye
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 12:39 pm

Jab tera Dard mere sath wafa karta hai
Ek samandar mere ankhoon say baha karta hai

Uski batain mujhay kushbhoo ki tarha lagti hain
Phool jese koi Sehra main khila karta hai

Mere Doost ki pehchaan yehi kafi hai
Woh her shaks ko danista khafa karta hai

Aur to koi sabab us ki Mohabbat kaa nahi
Baat itni hai woh mujhse jafa karta hai

Jab Khizaa aee to lot aye gaa woh bhi FARAZ
Woh baharoon main zara Kam hi mila karta hai!!!
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 12:40 pm

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 12:40 pm

'Faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahi,
magar qaraar se din kat rahe ho yun bhi nahi,

Lab-o-dahan bhi mila guftugu ka fan bhi mila,
magar jo dil pe guzarti hai keh sakun bhi nahi,

Meri zubaan ki luknat se bad-gumaan na ho,
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahi,

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hawa chaahe hai,
tu paas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahi.
Back to top Go down
shanu
Poetry Contest Winner
Poetry Contest Winner
shanu

Number of posts : 9384
Age : 114

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyTue Mar 24, 2009 10:30 pm

@ jab tera dard meray sath wafa kerta hay


KOMAL super hay yeh wali

meri all time fav Smile
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyFri Apr 03, 2009 7:02 pm



har haqiiqat majaaz ho jaaye
kaafiro.n kii namaaz ho jaaye

minnat-e-chaaraasaaz kaun kare
dard jab jaa.N navaaz ho jaaye

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye

lutf kaa intazaar karataa huu.N
jor taa hadd-e-naaz ho jaaye

umr besuud kaT rahii hai 'Faiz'
kaash afshaa-e-raaz ho jaaye
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyFri Apr 03, 2009 7:05 pm

apane saaye se bhii ashko.n ko chhupaa kar ronaa
jab bhii ronaa ho charaaGo.n ko bujhaa kar jiinaa

haath bhii jaate huye vo to milaakar na gayaa
mai.n ne chaahaa jise siine se lagaa kar ronaa

tere diivaane kaa kyaa haal kiyaa hai Gam ne
muskuraate huye logo.n me.n bhii jaa kar ronaa

log pa.D lete hai.n chehare pe likhii tahariire.n
itanaa dushvaar hai logo.n se chhupaa kar ronaa
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyFri Apr 03, 2009 7:11 pm

apane haatho.n kii lakiiro.n me.n basaale mujhako
mai.n huu.N teraa nasiib apanaa banaa le mujhako

mujhase tuu puuchhane aayaa hai vafaa ke maanii
ye terii sadaadilii maar na Daale mujhako

mai.n sama.ndar bhii huu.N motii bhii huu.N Gotaazan bhii
koii bhii naam meraa leke bulaale mujhako

tuune dekhaa nahii.n aaiine se aage kuchh bhii
Khudaparastii me.n kahii.n tuu na ga.Nvaale mujhako

kal kii baat aur hai mai.n ab saa rahuu.N yaa na rahuu.N
jitanaa jii chaahe teraa aaj sataale mujhako

Khud ko mai.n baa.NT na Daaluu.N kahii.n daaman-daaman
kar diyaa tuune agar mere havaale mujhako

mai.n jo kaa.NTaa huu.N to chal mujh se bachaakar daaman
mai.n huu.N gar phuul to juu.De me.n sajaale mujhako

mai.n khule dar ke kisii ghar kaa huu.N saamaa.N pyaare
tuu dabe paa.Nv kabhii aake churaale mujhako

tark-e-ulfat kii qasam bhii ko_ii hotii hai qasam
tuu kabhii yaad to kar bhuulanevaale mujhako

baadaa phir baadaa hai mai.n zahar bhii pii jaauu.N "Qateel"
shart ye hai koii baaho.n mei.n sambhale mujhako
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyFri Apr 03, 2009 7:15 pm

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahii.n
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii nahii.n

beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii nahii.n

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii nahii.n

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii nahii.n

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahii.n
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyFri Apr 03, 2009 7:20 pm

baat nikalegii to phir duur talak jaayegii

log bevajah udaasii kaa sabab puuchhe.nge
ye bhii puuchhe.ge ki tum itanii pareshaa.N kyuu.N ho
u.ngaliyaa.N uThe.ngii sukhe huye baalo.n kii taraf
ik nazar dekhe.nge guzare huye saalo.n kii taraf
chu.Diyo.n par bhii ka_ii tanz kiye jaaye.nge
kaa.Npate haatho.n pe bhii fikre kase jaaye.nge

log zaalim hai.n har ik baat kaa taanaa de.nge
baato.n baato.n me.n meraa zikr bhii le aaye.nge
unakii baato.n kaa zaraa saa bhii asar mat lenaa
varnaa chehare ke taasur se samajh jaaye.nge
chaahe kuchh bhii ho savaalaat na karanaa unase
mere baare me.n ko_ii baat na karanaa unase

baat nikalegii to phir duur talak jaayegii
Back to top Go down
Creator
Kuch Kaho Kisi Say Apni Voice Main
Kuch Kaho Kisi Say Apni Voice Main
Creator

Number of posts : 679
Age : 36
Location : PeXawar

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyFri Apr 03, 2009 10:09 pm

@KomaL..~
pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahii.n

"That Above one was SuperB..~Fit N HiT..~"
Back to top Go down
Mast Hafsay
Boyz vs Girlz Mod
Boyz vs Girlz Mod
Mast Hafsay

Number of posts : 12116
Age : 35
Location : multan

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySat Apr 04, 2009 10:56 am

good komal Very Happy
Back to top Go down
shanu
Poetry Contest Winner
Poetry Contest Winner
shanu

Number of posts : 9384
Age : 114

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptySun Apr 05, 2009 3:04 am

well done komal jeee

kee gal hay twadi Smile
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Apr 06, 2009 2:33 pm

@ shanu & mahnoor: thnx guyz Smile
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Apr 06, 2009 2:33 pm

Jab teri dhun main jia kartay thay
Ham bhi chup chap phira kartay thay

Aankhon main piyas huwa karti thi
Dil main tofan utha kartay thay

Log aatay thay ghazal sunnay ko
Ham teri bat KIA kartay thay

Sach samajhtay thay tere vadoo KO
Raat din ghar main raha kartay thay

Kissi viranay main tujh say mil kar
Dil main KIA phool khila kartay thay

Ghar ki deewar sajanay ki khatir
Ham tera naam likha kartay thay

Woh bhi KIA din thay tujhay bhula kar
Ham tujhay yaad KIA kartay thay

Kal tujhay dekh kar yad aaya
Ham bhi kabhi ~Mohabbat KIA kartay thay~
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Apr 06, 2009 2:59 pm

Kabhi Yun Bhi Aa Meri Ankh Mien
Ke Meri Nazar Ko Khabar na HO
Mujhy Ek Raat Nawaaz De
Magar Us Ke Bad Sehar Na HO
Woh Bara Rheem-o-Kareem Hay
Mujhy Sift Ye Ataa Karye
Tujhy Bholny Ki Duwa Karoon To
Duwa Mein Meri Asar Na Ho
Kabhi Din Ki Dhoop Mein Jhoom Ke
Kabhi Shab Ke Phool Ko Choom KE
Yunhi Sath Sath Chalen Sada
Kabhi Khatam Apna Safar Na Ho
Mery Pass Mery Habeeb Aa
Zara Our Dil Ke Qareeb Aa
Tujhy Dharknoon Mein Basa Loon
Ke Bichrny Ka Kabhi Dar Na HO
Kabhi Yun Milen Koi Muslihat
Koi Khoof Dil Mein Zara Na Ho
Mujhy Apni Koi Khabar Na Ho
Tujhy Apna Koi Pata Na Ho
Kabhi Dhoop De Kabhi Badliyan
Dil-o-Jaan Se Donoon Qabool Hein
Magar Is Mehal Mein NA Qaid Kar
Jahan Zindgi Ki Hawa Na Ho
Tery Ikhtiyar Mein Kia Nahi
Mujhy Is Tarha Se Nawaz De
Yun Duwaein Mery Qabool Hoon
Mery Lab Pe Koi Duwa Na Ho
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aankh Mein
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Back to top Go down
Komal
Poetry Section Mod
Poetry Section Mod
Komal

Number of posts : 2263
Age : 33
Location : Toronto, Canada

*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 EmptyMon Apr 06, 2009 3:00 pm

sochta hoon usy neend bhi aati ho gi
ya meri tarhan faqat aashq bahati ho gi

wo meri shakal mera nam bholany wali
apni tasweer say kya aankh milati hogi

sham hoty hi chokhat par jala kar shameen
apny palkoon par kayi khowab sulati hogi

is nai silwa bhi liay hon gay siya rang libas
ab moharam ki tarhan Eid mnati ho gi

hoti ho gi mery bossy ki talab mein pagal
jab bhi zulfoon mein koi phol sjati ho gi
Back to top Go down
Sponsored content




*| Komal's Collection |* - Page 2 Vide
PostSubject: Re: *| Komal's Collection |*   *| Komal's Collection |* - Page 2 Empty

Back to top Go down

*| Komal's Collection |*

View previous topic View next topic Back to top 
Page 2 of 3 Go to page : Previous  1, 2, 3  Next

Posting Rules

Your Posting Rules,

* Do not post any links or images

* No irrelevant Posts / Spamming

Permissions in this forum: You cannot reply to topics in this forum
 :: Other Sections :: Poetry Section :: Poetry -

  \-Mast Darinda-/'z special thanks to Counter Strike for CS image & warner bros for the images ov looney tunes ( http://www.warnerbros.com) & a bundle ov thanks to da creatorz of tom, barbie, tweety, pooh, donald duck, spider-man

Free forum | ©phpBB | Free forum support | Report an abuse | Forumotion.com